Blog Me HTML/Javascript Widgets Kaise Add Karte Hai

Blogger par new blog apne bana liya hai,iske bad blog ko achi tarah se design karna bahut jaruri hai,new blogger ko blog ki coding achi tarah se ati hai is wo apna blog design nahi kar pate hai lekin ap blogger ki coding bina bhi apna blog design kar sakte ho iske liye apko sirf HTML/JavaScript code ko copy karke blogger ke layout me paste karna hai,HTML/JavaScript code ko blogger template me kaise add karte iske bare me aj apko bataunga


HTML/JavaScript Widgets Kya Hai

Ye ek blogger ka tools hai,iski help se ham blog me HTML/JavaScript widgets ya gadgets ko bahut asani se jod sakte hai,HTML/JavaScript code ko blog me add karne ke liye hame sirf ek empty box milta hai isme hame jo code copy kiya usko yaha pe past kar dena hai ye bahut asan tarika hai aur new blogger ke liye to apna blog design karne ka ye no.1 & simple rasta hai
HTML/JavaScript Code Ke Fayde

Agar apko kisi online money dene wali company ke ads hamare blog me lagane hai to hame uska HTML code copy karke hamare blog ke layout me paste karna padega,simple me kahu to hamare blog ads dikhane ke liye hame uska HTML code hamare blog me add karna hoga
Iske,Alava ham HTML/JavaScript code ki madad facebook like box hamare blog me asani se add kar sakte hai

HTML/JavaScript Widgets Blogger Me Kaise Add Karte Hai

HTML/Javascript  code ko blogger me add karne ke liye apko below step follow karne padege

Sabse pahle apko jo widgets add karna hai uska code copy karlo

Step-1

Log in to blogger.com>dashboard>layout

Step-2

Ab blogger layout ka new page open hoga

Isme apko jaha bhi HTML/JavaScript widgets add karna hai waha Add A Gadgets ke options me click kare

Step-3

Ab ek new page open hoga

Is page me ap dekh sakte ho ki blogger ke kai sare widgets hai isme se apko HTML/JavaScript ke widgets par click karna hai

Step-4

HTML/JavaScript ke options me click karte hi ek new page open hoga

1)Title:Me apko is widgets ka title dena hai,lekin ap ads ka code add kar rahe ho to mera suggestion hai ki ap title ko blank hi rahne de

2)Ab jo bada box hai isme apko jo copy kiya hua code hai usko paste karna hai
3)Last me Save ke options me click karke widgets ko save kar dijiye

Dosto,Apko ab pata chal gaya hai ki HTML/JavaScript widgets ya code ko blogger me add kaise karte hai

Agar apka bloging se related koi confusion hai to ap ye site daily visit kare kyuki maine helptohidi.in site ap logo ki help karne ke liye banayi hai

Blog Me HTML/Javascript Widgets Kaise Add Karte Hai Rating: 4.5 Diposkan Oleh: Prahlad