Blog banane ke bad blog apne achi tarah se design kiya hoga,uske liye domain buy kiya hoga aur uske bad har new blogger yahi janne ki koshish karta hai ki uske blog ya website kitni popular hai,usme har ghante kinte visitors ate hai,visitors kaha se ate hai,kitni traffic organic search se ati hai,world ke kis area se jyada visitors ate hai,ye sab chizo ko jan sakte hai aj me apko is post me Google Analytics me account kaise banate hai aur uski tracking id ko blog me kaise jodate hai
Google Analytics Kya Hai?
Google analytics google ki hi ek free service hai iske jariye har blogger ya website owner ye pata kar sakte hai ki uske blog ya website me real time me kitne visitors website ko dekh rahe hai,har 30 minutes me kitne page views hue,har visitors kitne time tak hamari site me rukta hai aur uske alawa ham kai sari chije Google analytics ki help se jan sakte hai
Google Analytics Se Hame Kis Cheezo Ka Pata Chalta Hai
Google Analytics ki help se ham hamare blog ki traffic ke related ye bate pata kar sakte hai
1)Real time me hamare blog ya site me kitne visitors online hai
2)Is time jo visitors online hai kis content ko padh raha he iska bhi pata hame chalta hai
3)Google analytics se ye bhi pata chalta hai ki kitne visitors desktop, tablet & mobile ke jariye hamari site dekh rahe hai
4)Iski help se jo visitors ate hai wo direct,social media, organic ya phir anya koi madhyam se aye hai uska pata chal jata hai
5)har 30 minutes me kitne page views hue
6)kitne visitors kis country se aye uska bhi pata chalta hai
7)jo visitors online hai wo kis city se hai wo bhi ham jan sakte hai
8)Online visitors hai unhone kis browser me hamari site ko open kiya hai iska bhi pata chalta hai
9)Site me new visitors kitne ate hai aur old visitors kitne return ate hai uska pata bhi ek graph jariye ho jata hai
10)Site ka bounce rate kitna hai ye bhi jan sakte hai
11)Jo visitors ate hai usko konsi language ati hai wo bhi pata kar sakte hai
12)Sabse jyada page view konse article ke hue wo bhi pata kar sakte hai
13)Sabse jyada visitors kis country se ate hai uska bhi pata Google analytics ki help se chalta hai
Iske,alava bhi ham kai sari bate Google analytics ki madad se jan sakte hai
Google Analytics Account Banane Ke Liye Kin Cheezo Ki Jarurat Padti Hai
1)Gmail email id
2)Blog ya website
Google Analytics Me Account Kaise Banate Hai
Step-1
1)Sabse pahle Blogger.com me log in kare aur is page ko open rakhe
2)Ab browser me ek new window open kare aur Google analytics site par jayiye
Step-2
1)Ek new page open hoga usme sign up ke options me click kare
Step-3
Sign up ke options me click karte hi ek page open hoga agar blogger.com ki site me log in nahi kiya hai to yaha par pahle apko log in karna hoga aur apne pahle log in kiya hai to niche jo image hai waisa page open hoga
Usme apko ye jankari bharani hai
Usme apko ye jankari bharani hai
1)Ap kis blog ke liye analytics account bana rahe ho
2)Apne blog ka name add kare
3)Blog ka URL add kare
4)Site ka topic select kare
5)Apni country select kare
6)Isme apko sabhi options me tick karna hai aur pahle se hi hai to use waisa hi rahne de
7)Last me Get Tracking Id ke options me click kar de
Step-4
Ab ek new popup page open hoga
1)Apne country ka name select kare
2)Google Analytics service terms & condition padhe
3)Last me I Accept ke options me click kare
Step-5
Ab ek new page open hoga usme Google analytics account ka tracking code hoga usko ap Ctrl+d button daba ke copy karle
Ab apka Google Analytics me ban gaya hai aur apne jo code copy kiya hai usko blogger me submit karna hai
Google Analytics Code Ko Blogger Me Submit Kaise Karte Hai
Step-1
Sabse pahle ap blogger.com ki site open kare yaha pe apne log in nahi kiya hai log in kijiye iske bad blogger ka dashboard open hoga
1)Blogger Dashboard me se setting ke option me click kare
2) Uske bad niche jo options hai usme other par click kare
3)Ab side me jo new page open hoga isme last me jo empty box hai waha analytics ka code paste karde
4)Last me Save Setting ke options me click karke page save kar dijiye
Ab apka Google Analytics code blog me submit ho gaya hai aur apka blog Google analytics se connect ho gaya hai,Ap ab apne blog ki traffic ke bare me pata kar sakte ho
Analytics Me Apne Blog Ki Information Kaise Check Karte Hai
1)Sabse pahle www.google.com/analytics ki site open kare
2)Apko agar apke blog me abhi kitne visitors online hai wo dekhna hai to Real Time>Overview ke options me click kare
3)Uske bad niche jo image hai waisa hi ek page open hoga
Ye meri site ka image hai isme ap dekh sakte ho ki meri site me real time kitne visitors online hai
Apko ye post pasand ayi hai to use social media me share karna na bhule aur Google Analytics account banane me koi galati ho rahi hai to ap muje comment box me comment kare me apko uska solutions kar dunga
Mere post ki latest updates pane ke liye ap muje Facebook, Google+ Aur Email Id se follow kar sakte ho