Mark Zukerberg Aur Facebook Ki Success Story

Aj is post me apko duniya ki no.1 social networking site Facebook Aur Iske Co-founder Mark zuckerberg ki success story ke bare me bataunga

BioGraphy:Mark Zuckerberg

Mark Elliott Zuckerberg

Mark Zuckerberg ka janm 14 may 1984 ko White plains (New York)USA me ek doctor parivar me hua tha,zuckerberg ke father ka name Edward zuckerberg aur mother ka name Karen zuckerberg hai

Education

Primary schools se hi mark ko Programing interest tha,jab wo 12 saal ke the tab ATIRA BASIC ka upyog karke ek messaging program banaya tha jiska name mark zuckerberg ne ZUCKNET rakha tha,is zucknet program use mark ke father apne apne dental karyalay me karte the usse usko ye fayda hota tha ki koi new dentist patient aya hai tab uska inform recipients chillaye bina uske computer me message kar deta tha aur is zucknet program ka use mark ke ghar me bhi sabhi people karte the

Iske alawa mark zuckerberg ne bachpan me computer games aur kai sari chizo ka nirman kiya tha
Mark jab madhyamik school me padhte the tab unhone apne friend ke sath milakar ek MP3 PLAYER banaya tha aur is mp3 player ki khas bat ye thi ki user ko jo sunna hai isse related hi songs ki list ban jati thi

Mark Ki Paheli Website: Facemash

Facemash site ko banane ke idea mark ko 2003 me aya aur uske liye mark ne Harvard college ka data hack karne ka nirnay liya kyuki Harvard college ke students apni details ke sath profile picture bhi upload karte the,iske bad mark ne facemash site ke liye ek aysa data taiyar kiya jisme 2 auto female ki image show hoti thi aur is dono female image me kon beautiful hai uska nirnay site ke visitors vote ke jariye karte the
Facemash site me thode hi time jyada visitors ane lage aur jyadatar visitors Harvard college ke hi the,jyada traffic ke karan facemash site ke sabhi server crash ho gaye
Server crash hone ke bad mark par hacking ka iljam laga aur ye sahi bhi tha kyuki mark ne ladkiyo ki image hack karke hi churayi thi,iske bad mark ko college ki comeeti me bulaya gaya aur waha mark ko sabhi students koi na koi bat suna rahe the
Facemash site crash hone ke bad mark ne ek dusari site banane ka socha aur mark ko ye pata bhi nahi thaki ye site usko world ka youngest billionaire banane wale hai

Words No.1 Social Networking Site:Facebook Ki Success Story

Mark ke pass social site banane ka idea lekar Divya Narendra aya tha aur is social site ka name Harvard connection rakhne ka tay kiya gaya aur uske bad divya Narendra aur uske friends aur mark zuckeberg ke bich me ek meeting hui aur is site banane ka nirnay liya gaya
Harvard connection site ke project par kam karte hi mark ko apni khud ki social site banane ka bahetarin idea aya
Aur is idea par kam karne ke liye mark ne sabase pahle thefacebook.com domain register kar liya aur isko aj puri duniya Facebook.com se janti hai
Mark ne facebook site par kam apne friend Eduardo saverin ke sath suru kiya aur sabase pahle facebook project par invest Eduardo ne hi kiya tha
Facebook par daily 4000 visitors hone ke bad mark ne facebook par dusre program ko add karna suru kar diya
Facebook par 50 millions traffic hone ke bad world ki popular site Yahoo ne facebook ko 900 million dollar me buy karne ka prastav mark ke pass rakha lekin usko mark ne thukra diya
Facebook ke 60% shares mark zuckerberg ke pass hai aur 35% shares Eduardo sarevin aur 5% shares anya friends ke pass hai
Mark ne facebook site special students ke liye banayi thi lekin mark ko pata nahi thaki uski ye site world ki no.1 social networking site banegi aj Facebook me daily 1 million visitors ate hai aur facebook ki world ranking google ke bad no.2 par hai
Is tarah ek social networking site ne mark zuckerberg ko world ka youngest billionaire bana diya

Marriage

Facebook social networking site se billionaire banne ke bad mark ne 2012 me apni girlfriend Priscilla chan(New York) ke sath sadi kar li aur us dono ki marriage life bhi ache se age badh rahi hai

I hope apko ye post pasand ayi hogi aur use social media me share karna na bhule

Last Me Itna Hi Kahunga

    "Log Iski Parvah Nahi Karte Hai Ki Ap Kya Kahte Hai,Log Iski Parvah Karte Hai Ap Kya Banate Hai"

Mark Zukerberg Aur Facebook Ki Success Story Rating: 4.5 Diposkan Oleh: Prahlad