Top 5 Hindi Blogger Success Story

Aj is post me apko top 5 hindi successful bloggers ke bare me bata ne ja raha hu jinhone hindi blogging me apni ek alag pahchan banayi hai,ye sabhi bloggers hardwork karke aj India ke top hindi bloggers ki list samil hue hai


1)Achhikhabar.com

Owner: Gopal Mishra

Acchikhabar ke owner Gopal Mishra ji hai jo Gorakhpur (UP) me leave karte hai,Gopal ji ne MBA tak padhai ki hai,Gopal ji ne blogging me full time dene ke liye 2015 me CSC ki job chod di aur aj apna full time blogging me dete hai

Achhikhabar site me apko Hindi stories,Quotes, Health Tips se related jankari mil jayegi,agar  apko life successful person banna hai to apko ye site daily visit karna chahiye

Achhikhabar ka Alexa global rank 26,593 hai aur India me Alexa rank 2442 hai

2)Supportmeindia.com

Owner:Jumedeennkhan

Supportmeindia ke founder jumedeenkhan hai jo Rajasthan me leave karte hai aur unhone engineering degree hasil ki hui hai,jumedeenkhan ne supportmeindia site logo ki help karne ke liye banayi hai unka ek hi dream tha logo ki help karke money earn kaise ki jaye aur unka ye dream aj pura bhi ho gaya hai wo aj hindi me blogging karke logo ki help kar rahe hai aur achhi income bhi kar rahe hai
Supportmeindia.com site ko 27 July 2015 create hui hai,abhi is site ko 1 year bhi nahi hua hai,is site me apko Blogging, Seo,Affiliate marketing, make money,Google adsense, WordPress jaise blogging topic se related information mil jayegi

Supportmeindia ka Alexa global rank 37,786 aur India me rank 3740 hai

3)HindiMeHelp.Com

Owner: Rohit Mewada

Hindimehelp ke site owner Rohit Mewada hai,Rohit Mewada ji Bhopal(MP)ke rahne wale hai,Rohit ne engineering ki degree Gyan ganga institute of management and technology, Bhopal se hasil ki hai,Rohit ko bachpan se hi internet aur blogging me interest tha isliye unhone hindimehelp site ko 2015 create kiya
Hindimehelp site ko February 2015 me Rohit Mewada ne create kiya tha,is site ko sirf 15 months hue hai aur uski earning 6 digits me hai,hindimehelp me apko blogging, Seo,Internet tricks,WordPress, Hosting jaise blogging se related topic information milati hai,is site ne hindi blogging me apni ek alag pahchan banayi hai

Hindimehelp site ka Alexa global rank 40,500 aur India me ranking 4729 hai
Hindimehelp ke Facebook page par 5.6k likes hai

4)Shoutmehindi.in

Owner: Harsh Agrawal

Shoutmehindi ke owner Harsh Agrawal hai,Harsh Agrawal ek professional blogger hai,Harsh ne apna primary education Lax man Public School(2004) me aur Engineering ki degree Sahara University(2008) se hasil ki thi
Shoutmehindi site Harsh ne special Hindi bloggers ke liye banayi hai,uski English site ShoutmeLoud pure word me popular hai,shoutmehindi site ko 15 June 2015 ko create kiya gaya hai,is site me apko blogging se related all information mil jayegi jo new bloggers ke liye bahut hi useful hai

Shoutmehidi ki Alexa global rank 85,206 hai aur India me ranking 8,072 hai

5)Hindisoch.com

Owner: Pawan Kumar

HindiSoch site ke owner Pawan Kumar hai,Pawan kumar Bulandsahar(UP)ke rahne wale hai,Pawan Kumar ek middle class family se ate hai aur wo Delhi ki ek software company me job karte hai aur Hindisoch site me wo part time blogging karte hai

HindiSoch site me apko Story, Hindi Quotes, Jokes, Tech,Books se related kai sari posts mil jayegi,agar apko life me ek successful blogger banna hai to apko hindisoch site me jo story aur quotes hai isko jarur read karna chahiye

Hindisoch ka Alexa global rank 97,498 aur India me rank 8,881 hai

Dosto,ye top 5 India ke Hindi bloggers hai,agar ap new blogger hai aur blogger me successful career banana hai to apko ye 5 site apke blogging career banane me bahut useful hogi

I hope apko ye post pasand ayi hai aur is post ko social media share karna na bhule aur me bhi blogging me naya hu isliye muje apka suggestion comment sawal karke kar sakte ho me apke suggestion ko agali post me jarur use karunga

Top 5 Hindi Blogger Success Story Rating: 4.5 Diposkan Oleh: Prahlad